Monday, June 26, 2006

SHARAB PI JAYE....

 Ye waqt dil pe kada hai, sharab pi jaye
Dukhon ne hukam diya hai, sharab pi jaye

thakan se tootte pairon mai jaan aa jaye
safar tabeel bada hai, sharab pi jaye

sharab pi ke har shaql uski dikhti hai
sharab dil ki sada hai, sharab pi jaye

har ek jaam ki tah mai chupi hui hai khushi
ye ham se gham ne kaha hai, sharab pi jaye.....


Maut

Maut

ae jaan ab tujhe jaan se jyada chahne lage hain,
har sajde(1) mein tere badale maut mangane lage hain.

pahle to ittefaqan woh har mod par milna uska,
hijr-e-yaar(2) ka khuda se ab sawaal uthane lage hain.

jinhein bhulaane mein ik umra gujaar di humne,
woh lamhein ab humein phir yaad aane lage hain.

mere yaar ko jahaan ki har khushi nawaaz ho,
apne liye uske sab gham mangane lage hain.

haal-e-dard-e-dil chhupane ka hunar seekh liya hai,
chehre ko ab hansi ke kafan se chhupane lage hain.

woh ruu-ba-ruu hain par izhaar-e-alfaaz(3) pe bandishen hain,
bebasi ke yeh lamhein ab dushwaar-e-hayat(4) karne lage hain.

woh gareeb is janam mein to mera yaar de na sakaa,
khuda ab agale janam ki ummid bandhane lage hain.

waqt-e-aazmaaish-e-ahad-e-khuda(5) jo aane ko hai,
hum besabri se maut ka intezaar karne lage hain

dhushman bhi tera haal puch dillagi kar rahe hain "Ankit",
gairat-e-ishq(6) mein ab tera tamashaa banane lage hain.

1. sajde - prayer, touching the forehead to the ground in prayer
2. hijr-e-yaar - seperation of beloved
3. izhaar-e-alfaaz - _expression of words
4. dushwaar-e-hayat - to make life difficult
5. waqt-e-aazmaaish-e-ahad-e-khuda - time to test the promise of god
6. gairat-e-ishq - pride of love

Friday, June 16, 2006

Tere khat main jalata kaise


Tere khushboo mein baase khut main jalata kaise

Pyar mein doobe hue khut main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khut main jalata kaise

Jin ko dunya ki nigahon say bachaye rakha
Jin ko ek umer kaleje say lagaye rakha
Deen jin ko jinhain eeman banaye rakha
Tere khushboo mein baase khut main jalata kaise

Jin ka her lafz mujhe yaad tha fani ki terha
Yaad thay mujh ko jo paygham-e-zubani ki terha
Mujh ko pyare thay jo anmol nishani kee terha
Tere khushboo mein baase khut main jalata kaise

Tu ne dunya ki nigahon say jo bach ker likhe
Saal ha saal mere naam baraber likhe
Kabhi din main to kabhi raat ko uth ker likhe
Tere khushboo mein baase khut main jalata kaise

Tere khushboo mein baase khut main jalata kaise
Pyar mein doobe hue khut main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khut main jalata kaise
Tere khut aaj main ganga mein baha aaya houn
Aag behte hue paani main laga aaya houn